CHALO KASHMIR CHALTAY HAIN
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jahan parr barf girti hai 
jahan pathar kay neechay 
phool khiltay hain
jahan chashmay ubaltay hain 
jahan barish barasti hai
barasti barishon mein bhi
jahan kuhsaar jaltay hain




Hamein apnay puranay khwab ki 
ungli pakar karr 
aik waadi mein utarna hai
jahan dushman ka qabza hai

Yeh woh qat'aa hai,jis parr
Mustufa nay fasl bo'ei thi
yahan dushman ki choki hai,
udhar woh kunj jis mein 
Fatima nay gharr banaya tha
wahan parr khana e eeza rasani hai,
woh medan,jis mein bachchay
khail mein masroof rehtay thay
wahan parr tank chaltay hain

Chalo dushman say miltay hain
hamein ik baar phirr 
uss say yeh kehna hai
''sitam dha'o
ijazat hai tumhein
dunya kay saray munsifon
insaniyat kay theka daron ki,
sitam dha'o,magar itna to batla'o
ke tumm yeh jaan lay lo gay 
to kya eeman bhi lo gay?
hamara khoon baha'o gay
to kya jo khoon mein shamil hai
woh pemaan bhi lo gay?

Diyay jabb tumm bujha do gay 
to kya phirr anjum o mahtaab looto gay?
hamari neend to tumm loot saktay ho
magar kesay hamara khwab looto gay?

~~~

Comments

Popular Posts